Our social:

Latest Post

Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

Thursday, October 2, 2014

Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ? —

Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ?
Rait Ke Gharoonday Pe Aitbaar Kia Kartay ?

Door Jaanay Waalay Phir Lout Kar Nahee Aatay
Door Jaanay Waalon Ka Intezaar Kia Kartay ?

Oske Saaray Gham Le Kar Apni Khushi Dedi
Aur Is Se Badh Kar Ham Os Se Pyaar Kia Kartay ?

Khol Kar Kitaab-e-Dil Unke Saamnay Rakh Di
Aur Bekaraari Mein Bekaraar Kia Kartay ?

Kat Gaye Hawaon Ki Tund-o-Taiz Lehron Se
Aandhion Ke Aagay Ye Shaakhsaar Kia Kartay ?

Ham Ne Oski Khwaahish Per Jaan Bhee Luta Di Hai
Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ?
 —

Photo: Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ? Rait Ke Gharoonday Pe Aitbaar Kia Kartay ?  Door Jaanay Waalay Phir Lout Kar Nahee Aatay Door Jaanay Waalon Ka Intezaar Kia Kartay ?  Oske Saaray Gham Le Kar Apni Khushi Dedi Aur Is Se Badh Kar Ham Os Se Pyaar Kia Kartay ?  Khol Kar Kitaab-e-Dil Unke Saamnay Rakh Di Aur Bekaraari Mein Bekaraar Kia Kartay ?  Kat Gaye Hawaon Ki Tund-o-Taiz Lehron Se Aandhion Ke Aagay Ye Shaakhsaar Kia Kartay ?  Ham Ne Oski Khwaahish Per Jaan Bhee Luta Di Hai Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ?

Tuesday, September 23, 2014

Dil-Shikasta Koi Hum Jaisa Yahan Dafn Hai Kya

Dil-Shikasta Koi Hum Jaisa Yahan Dafn Hai Kya
Der Tak Raat Ko Rone Ki Sda Aati Hai
Jaise Chasme Pe Nahati Huyi Shehzadi-E-Khawab
Chandni Raat Jab Ashko Me Naha Jaati Hai
Kya Yahan Dasht-E-Tammana Me Koi Phool Khila
Ab Idhar Roz Kayi Bar Sba Aati Hai
Kisi Dastak Ne Bahut Chupke Se Sargoshi Ki
Chand Se Chandni Nazdeek Huyi Jaati Hai
Meri Aankho Me Utar Aaye Hain Kaale Baadal
Jao So Jao Ki Mausam Bada Jazbati Hai
Khushk Patton Ko Koi Rond Raha Hai Shayad
Baal Bikhraye Huye Baad-E-Sba Aati Hai
 —

Photo: Dil-Shikasta Koi Hum Jaisa Yahan Dafn Hai Kya Der Tak Raat Ko Rone Ki Sda Aati Hai Jaise Chasme Pe Nahati Huyi Shehzadi-E-Khawab Chandni Raat Jab Ashko Me Naha Jaati Hai Kya Yahan Dasht-E-Tammana Me Koi Phool Khila Ab Idhar Roz Kayi Bar Sba Aati Hai Kisi Dastak Ne Bahut Chupke Se Sargoshi Ki Chand Se Chandni Nazdeek Huyi Jaati Hai Meri Aankho Me Utar Aaye Hain Kaale Baadal Jao So Jao Ki Mausam Bada Jazbati Hai Khushk Patton Ko Koi Rond Raha Hai Shayad Baal Bikhraye Huye Baad-E-Sba Aati Hai

Saturday, September 13, 2014

Koi dhoondh aisa hum'safar,


Koi dhoond aisa hum'safar,

Jisy tu apna bana saky,

Tu kahy k raat hy
Or wo chandni luta saky,

Tere aansuon ko wo samait le,

K koi na tujh ko rula saky,

Teri raah men ho jo mushkilen,

Apni palkon se wo utha saky,

Tujhe rakh le apne hisaar men,

K tujh ko na koi chura saky,

Wo ho tere itna qareeb k,

Kisi ki yaad bhi na tujhe aa saky,

Han....
Koi dhoondh aisa hum'safar,
Jo meri tarha tumhe chah saky. 

Photo: Koi dhoond aisa hum'safar,  Jisy tu apna bana saky,  Tu kahy k raat hy Or wo chandni luta saky,  Tere aansuon ko wo samait le,  K koi na tujh ko rula saky,  Teri raah men ho jo mushkilen,  Apni palkon se wo utha saky,  Tujhe rakh le apne hisaar men,  K tujh ko na koi chura saky,  Wo ho tere itna qareeb k,  Kisi ki yaad bhi na tujhe aa saky,  Han.... Koi dhoondh aisa hum'safar, Jo meri tarha tumhe chah saky.  <3  pwince

Thursday, September 4, 2014

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko

Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko
Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko

Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay
Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko

TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee
Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko

Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman
Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko

Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel
Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko
 — 

Photo: Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko  Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko  TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko  Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko  Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko

Friday, August 29, 2014

Ek Mohabat Hy OR Uski Ek Nishani Hy

Ek Mohabat Hy OR Uski Ek Nishani Hy
Ek Dil Hy Jese Koi Haweli Purani Hy

Safar Raat Ka Hy OR Raat Bi Tufani Hy
Samandr Hi Samandr Hy Kashti Bi Doob Jani Hy

Ibteda-e-Ishq Se Inteha-e-Ishq Tak
Main Hi Tha Bewafa OR Mainne Hi Wafa Nibhani Hy

Main Lot aya Hoon Manzil Ko Dekh kar
Yahan To Yadon ki Verani Hi Verani Hy

Ye Intzar Khatam Q Nahi Hota Kis Se Pochon
Kya koi manzil mera muqadar hy Ya yehi meri adhori kahani hy?
 

Photo: Ek Mohabat Hy OR Uski Ek Nishani Hy Ek Dil Hy Jese Koi Haweli Purani Hy  Safar Raat Ka Hy OR Raat Bi Tufani Hy Samandr Hi Samandr Hy Kashti Bi Doob Jani Hy  Ibteda-e-Ishq Se Inteha-e-Ishq Tak Main Hi Tha Bewafa OR Mainne Hi Wafa Nibhani Hy  Main Lot aya Hoon Manzil Ko Dekh kar Yahan To Yadon ki Verani Hi Verani Hy  Ye Intzar Khatam Q Nahi Hota Kis Se Pochon Kya koi manzil mera muqadar hy Ya yehi meri adhori kahani hy?

Thursday, August 28, 2014

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
 — 
Photo: Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai  Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai  Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai  Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai  Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai  Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai

Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar

Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar
Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar

Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para
Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar

Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha
Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar

Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila
Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar

Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura
Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar

Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar
Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar
 — 

Photo: Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar  Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar  Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar  Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar  Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar  Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar

Saturday, August 23, 2014

Apna Faida Soche Bina Sab K Saath Achai Karo,

Apna Faida Soche Bina Sab K Saath Achai Karo,

Q K,,

Jo Log Phool Taqseem Karte Hain Un K Hathon Mein Khushbu Zaroor Reh Jati Hai...!! 
Me To Rozz Taqseem Krta Hun   
Dulha Dulhan's photo.
Dulha Dulhan's photo.
Dulha Dulhan's photo.
Dulha Dulhan's photo.

Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,

Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,

Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aaah si uthti hai mere seeney mein,

Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,

Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,

Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..

Photo: Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se, Beeti sadayen rakss karti hain tere ashiyane se,  Karta hon yaad mein tujhe jab bhi, Ik aaah si uthti hai mere seeney mein,  Puchte hain log mujhse be-basi ka sabab, Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,  Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe, Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,  Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain, Behelta hai jo teri yaadon ke khilone se..

Tuesday, August 19, 2014

Yehi Tha Jaan-e-man Bilkul Humara Haal Pehle Bhi

Yehi Tha Jaan-e-man Bilkul Humara Haal Pehle Bhi
Yehi Hum Sochte Thy Aaj Se Kuch Saal Pehle Bhi

Rida-e-Khuwab Se Bahir Nahi Nikle Hain Hum Ab Tak
Sitaron Se Bhari Orhe Howe Thy Shaal Pehle Bhi

Issi Daman Se Aanshu Pochte Thy Khalawton Main Hum
Issi Mitti Main Rulte Thy Humare Laal Pehle Bhi

Dar-o-devaar He Sunte Thy Sare Shehar ke Dharke
Yehi Tha Damaein-e-mohtaram Ka Kaal Pehle Bhi

Yehi Daman Tha Jiski Dhagiyon per Sher Likhte Thy
Humara Shehar Main Tha "Meer" Jesa Haal Pehle Bhi

Ye Ishq Aarzoo Se Pehle Bhi Galiyon Mai Phiraata Tha
Galay Ka Touq Tha Kambakht Ye Janjaal Pehle Bhi

Nai Ab Konsi Haalaat Ki Surat Nikal Aayi ?
Yehi Hum Thy, Yehi Tum Thy, Yehi Ehwaal Pehle Bhi
 — 

Photo: Yehi Tha Jaan-e-man Bilkul Humara Haal Pehle Bhi Yehi Hum Sochte Thy Aaj Se Kuch Saal Pehle Bhi  Rida-e-Khuwab Se Bahir Nahi Nikle Hain Hum Ab Tak Sitaron Se Bhari Orhe Howe Thy Shaal Pehle Bhi  Issi Daman Se Aanshu Pochte Thy Khalawton Main Hum Issi Mitti Main Rulte Thy Humare Laal Pehle Bhi  Dar-o-devaar He Sunte Thy Sare Shehar ke Dharke Yehi Tha Damaein-e-mohtaram Ka Kaal Pehle Bhi  Yehi Daman Tha Jiski Dhagiyon per Sher Likhte Thy Humara Shehar Main Tha "Meer" Jesa Haal Pehle Bhi  Ye Ishq Aarzoo Se Pehle Bhi Galiyon Mai Phiraata Tha Galay Ka Touq Tha Kambakht Ye Janjaal Pehle Bhi  Nai Ab Konsi Haalaat Ki Surat Nikal Aayi ? Yehi Hum Thy, Yehi Tum Thy, Yehi Ehwaal Pehle Bhi

Saturday, August 9, 2014

Tumhare Bagair Tumhare Sung Rehne Laga Hoon

Tumhare Bagair Tumhare Sung Rehne Laga Hoon
Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Laga Hoon

Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi Ye Gumaan Bhi Tha
Zard Patto’n Ki Terha Se Roz Bikherne Laga Hoon

Kaash Mujhe Bhi Maire Hissay Ka Pyar Mil Jaye
Isi Aas Par Ab Man Yahan Jeenay Laga Hoon

Koi Nahi Marta Kisi K Bagair Kabhi Ye Kaha Tha
Din Raat Ye Hi Soch Ker Ab Marne Laga Hoon

Tum Ne Kaha Tha Koi Juda Nahi Ker Sakta Humain
Ab Ye Hi Dua Main Bhi Kerne Laga Hoon
 —

Photo: Tumhare Bagair Tumhare Sung Rehne Laga Hoon Khud Ko Kuch Is Terha Se Saza Dene Laga Hoon  Pathar Ki Terha Se Hoon Kabhi Ye Gumaan Bhi Tha Zard Patto’n Ki Terha Se Roz Bikherne Laga Hoon  Kaash Mujhe Bhi Maire Hissay Ka Pyar Mil Jaye Isi Aas Par Ab Man Yahan Jeenay Laga Hoon  Koi Nahi Marta Kisi K Bagair Kabhi Ye Kaha Tha Din Raat Ye Hi Soch Ker Ab Marne Laga Hoon  Tum Ne Kaha Tha Koi Juda Nahi Ker Sakta Humain Ab Ye Hi Dua Main Bhi Kerne Laga Hoon

Thursday, July 31, 2014

Ghazal: apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho

apnay haathoon se yun chehare ko chupaate kion ho 
mujh se sharmaate ho to saamane aate kion ho 

tum kabhii merii tarah kar bhii lo iqaraar-e-vafaa 
piyar karate ho to phir piyar chupaate kion ho 

ashk aunkhoon main merii dekh ke rote kion ho
dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kion ho

in se vaabastaa hai jab meraa muqaddar phir tum
mere shaanoon se ye zulf hataate kion ho

roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kion ho
milane aate ho to phir laut ke jaate kion ho

Sponsor

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...