Yehi Tha Jaan-e-man Bilkul Humara Haal Pehle Bhi

Yehi Hum Sochte Thy Aaj Se Kuch Saal Pehle Bhi
Rida-e-Khuwab Se Bahir Nahi Nikle Hain Hum Ab Tak
Sitaron Se Bhari Orhe Howe Thy Shaal Pehle Bhi
Issi Daman Se Aanshu Pochte Thy Khalawton Main Hum
Issi Mitti Main Rulte Thy Humare Laal Pehle Bhi
Dar-o-devaar He Sunte Thy Sare Shehar ke Dharke
Yehi Tha Damaein-e-mohtaram Ka Kaal Pehle Bhi
Yehi Daman Tha Jiski Dhagiyon per Sher Likhte Thy
Humara Shehar Main Tha "Meer" Jesa Haal Pehle Bhi
Ye Ishq Aarzoo Se Pehle Bhi Galiyon Mai Phiraata Tha
Galay Ka Touq Tha Kambakht Ye Janjaal Pehle Bhi
Nai Ab Konsi Haalaat Ki Surat Nikal Aayi ?
Yehi Hum Thy, Yehi Tum Thy, Yehi Ehwaal Pehle Bhi —

0 comments:
Post a Comment