Our social:

Thursday, August 28, 2014

Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar

Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar
Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar

Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para
Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar

Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha
Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar

Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila
Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar

Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura
Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar

Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar
Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar
 — 

Photo: Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar  Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar  Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar  Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar  Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar  Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar

0 comments:

Post a Comment

Sponsor

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...