Our social:

Thursday, March 14, 2013

Haseen Khayal Ban Kar Aa Jaao Kabhi

Haseen Khayal Ban Kar Aa Jaao Kabhi
Beti hui yaadain dohraao kabhi

Paigham e Mohabbat liay aa rahi hay SABA
Mujhay yaad kar k suntay jaao kabhi

Kisi shaam haathon main gul liay
Kisi Bhaag main aao Kabhi

Kinaray Jheel k baith kar
Naghmay mohabbat k sunao kabhi

Hum deedar main dhoobay rahain
Aur tum muskuratay jaao kabhi

Talkh andhairon ka musafir hoon
Chiragh e Raah ban jaao kabhi

Dil ki shaakhain jhar chuki hain
Sawan ki tarah baras jaao kabhi

Auraq e Mohabbat ulat tay rahin hum
Aur tum parhtay jaao kabhi —

0 comments:

Post a Comment

Sponsor

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...